pas ho kar sarab lagta hai
paas ho kar sarāb lagtā hai
saath hai aur ḳhvāb lagtā hai
ġhair kī baat jhaT se mānegā
merā kahnā ḳharāb lagtā hai
us ke ghar hai ajiib sī ḳhushbū
aur ḳhud bhī gulāb lagtā hai
mujh ko hī de gayā añdherā kyuuñ
sab ko vo māhtāb lagtā hai
vo jo ḳhush ḳhush dikhā.ī dene lagā
mere ġham kā javāb lagtā hai
pas ho kar sarab lagta hai
sath hai aur KHwab lagta hai
ghair ki baat jhaT se manega
mera kahna KHarab lagta hai
us ke ghar hai ajib si KHushbu
aur KHud bhi gulab lagta hai
mujh ko hi de gaya andhera kyun
sab ko wo mahtab lagta hai
wo jo KHush KHush dikhai dene laga
mere gham ka jawab lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.