pas mazhab ka ho ya bharam zat ka
paas maz.hab kā ho yā bharam zaat kā
aadmī hai ġhulām apnī ādāt kā
dam nikal jā.egā ab javābāt kā
silsila chal paḌā hai savālāt kā
ghar kī dīvāreñ to ho chukīñ nam magar
jaane ab kyā irāda hai barsāt kā
laakh bāteñ sunātī hai duniyā hameñ
kyā burā mānñā terī ik baat kā
do ghaḌī mujh se rūThā hai merā shu.ūr
silsila munqata.a hai ḳhayālāt kā
jab madārī ne chāhā hañse ro diye
ham bhī samjhe nahīñ khel jazbāt kā
aa.e baiThe chale baat kuchh kī nahīñ
fā.eda kyā hai aisī mulāqāt kā
kaise badlegī taqdīr 'āqib' miyāñ
shikva karte rahoge jo hālāt kā
pas mazhab ka ho ya bharam zat ka
aadmi hai ghulam apni aadat ka
dam nikal jaega ab jawabaat ka
silsila chal paDa hai sawalat ka
ghar ki diwaren to ho chukin nam magar
jaane ab kya irada hai barsat ka
lakh baaten sunati hai duniya hamein
kya bura manna teri ek baat ka
do ghaDi mujh se ruTha hai mera shuur
silsila munqata hai KHayalat ka
jab madari ne chaha hanse ro diye
hum bhi samjhe nahin khel jazbaat ka
aae baiThe chale baat kuchh ki nahin
faeda kya hai aisi mulaqat ka
kaise badlegi taqdir 'aqib' miyan
shikwa karte rahoge jo haalat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.