pas mein ruh-e-wafa ho jaise
paas meñ rūh-e-vafā ho jaise
dil mirā jaltā diyā ho jaise
is tarah jiitā huuñ maiñ tere baġhair
zindagī ek sazā ho jaise
lab pe yuuñ naam tirā aatā hai
āḳhir-e-shab kī duā ho jaise
dil mirā toḌā hai hañste hañste
ye tirā ahd-e-vafā ho jaise
yuuñ terī mast nazar uThtī hai
dar mai-ḳhāna khulā ho jaise
pal meñ murjhā ke girā shāḳh se phuul
muskurāne kī sazā ho jaise
ġham milā terā lipaT kar mujh se
yār-e-derīna milā ho jaise
uf ye aalam tirī añgḌā.ī kā
gul ho aur mauj-e-sabā ho jaise
dil meñ aa.ī hai tirī yaad 'habīb'
shāḳh meñ phuul khilā ho jaise
pas mein ruh-e-wafa ho jaise
dil mera jalta diya ho jaise
is tarah jita hun main tere baghair
zindagi ek saza ho jaise
lab pe yun nam tera aata hai
aaKHir-e-shab ki dua ho jaise
dil mera toDa hai hanste hanste
ye tera ahd-e-wafa ho jaise
yun teri mast nazar uThti hai
dar mai-KHana khula ho jaise
pal mein murjha ke gira shaKH se phul
muskurane ki saza ho jaise
gham mila tera lipaT kar mujh se
yar-e-derina mila ho jaise
uf ye aalam teri angDai ka
gul ho aur mauj-e-saba ho jaise
dil mein aai hai teri yaad 'habib'
shaKH mein phul khila ho jaise
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 53)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.