pas rahna bhi aur pare rahna
paas rahnā bhī aur pare rahnā
haa.e un kā Dare Dare rahnā
zindagī naam ḳhud hai halchal kā
haath par haath kyuuñ dhare rahnā
jo ġhazal ko sameT letī hai
us adā par mare mare rahnā
ye bhī zinda-dilī kā masraf thā
saath shāhoñ ke masḳhare rahnā
baat qad-āvarī kī chaltī hai
ai 'jamīl' aap kuchh pare rahnā
pas rahna bhi aur pare rahna
hae un ka Dare Dare rahna
zindagi nam KHud hai halchal ka
hath par hath kyun dhare rahna
jo ghazal ko sameT leti hai
us ada par mare mare rahna
ye bhi zinda-dili ka masraf tha
sath shahon ke masKHare rahna
baat qad-awari ki chalti hai
ai 'jamil' aap kuchh pare rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.