pasban ban ke irada mere aage hoga
pāsbāñ ban ke irāda mire aage hogā
hogā pāyāb jo dariyā mire aage hogā
zer ho jā.egī har tīra-shabī āḳhir-kār
terī sūrat kā ujālā mire aage hogā
ab to maiñ aag se khelūñgā charāġhāñ kar ke
shahr tārīk ye saarā mire aage hogā
maiñ magar jā.ūñgā rakkhe hue āñkhoñ par haath
laakh rāhoñ meñ tamāshā mire aage hogā
ab maiñ is raah pe chal niklā huuñ 'rāshid' ki jahāñ
kuchh na hone kā nazāra mire aage hogā
pasban ban ke irada mere aage hoga
hoga payab jo dariya mere aage hoga
zer ho jaegi har tira-shabi aaKHir-kar
teri surat ka ujala mere aage hoga
ab to main aag se khelunga charaghan kar ke
shahr tarik ye sara mere aage hoga
main magar jaunga rakkhe hue aankhon par hath
lakh rahon mein tamasha mere aage hoga
ab main is rah pe chal nikla hun 'rashid' ki jahan
kuchh na hone ka nazara mere aage hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.