pasbanon pasbani dekh li
pāsbānoñ pāsbānī dekh lī
har nazar kī mehrbānī dekh lī
aa.e bole hañs diye phir chal paḌe
chaar roza zindagānī dekh lī
ab chaman kā rang rangīñ ho chukā
bāġhbāñ kī bāġhbānī dekh lī
gul kā dāman chaak dekhā raat ko
sub.h ko phir nauha-ḳhvānī dekh lī
mālī-e-gulshan kā vo zulm-o-sitam
bulbuloñ kī be-zabānī dekh lī
jin laboñ se jā mile the lab mire
un laboñ kī gul-fishānī dekh lī
be-ḳhudī meñ chāñdnī samjhā kiye
hosh meñ sab zulm-rānī dekh lī
is qadar maġhrūr but kā kyā sabab
ya.anī umr-e-jāvedānī dekh lī
jo mere the ruḳh ko phere chal diye
mujh meñ koī nā-tavānī dekh lī
ham-safīroñ se pareshāñ ho gayā
ruk ga.e jab raat raanī dekh lī
is shabābī daur pe kab tak hai naaz
saare aalam kī javānī dekh lī
sunte the 'rahbar' tirī biptā kahāñ
yuuñ tirī jādū-bayānī dekh lī
pasbanon pasbani dekh li
har nazar ki mehrbani dekh li
aae bole hans diye phir chal paDe
chaar roza zindagani dekh li
ab chaman ka rang rangin ho chuka
baghban ki baghbani dekh li
gul ka daman chaak dekha raat ko
subh ko phir nauha-KHwani dekh li
mali-e-gulshan ka wo zulm-o-sitam
bulbulon ki be-zabani dekh li
jin labon se ja mile the lab mere
un labon ki gul-fishani dekh li
be-KHudi mein chandni samjha kiye
hosh mein sab zulm-rani dekh li
is qadar maghrur but ka kya sabab
yani umr-e-jawedani dekh li
jo mere the ruKH ko phere chal diye
mujh mein koi na-tawani dekh li
ham-safiron se pareshan ho gaya
ruk gae jab raat rani dekh li
is shababi daur pe kab tak hai naz
sare aalam ki jawani dekh li
sunte the 'rahbar' teri bipta kahan
yun teri jadu-bayani dekh li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.