paya tere kushton ne jo maidan-e-bayaban
paayā tire kushtoñ ne jo maidān-e-bayābāñ
shān-e-chaman-e-ḳhuld huī shān-e-bayābāñ
dīvāna tirā mar ke huā zinda-e-jāved
ruuh us kī jo niklī to huī jān-e-bayābāñ
mujh sā bhī jahāñ meñ koī saudā.ī na hogā
samjhā lahad-e-qais ko aivān-e-bayābāñ
vīrāna-nashīnī hai azal se mirī jāgīr
qismat ne diyā hai mujhe farmān-e-bayābāñ
vahshat pe mirī āhūoñ ke bahte haiñ aañsū
hairat pe mirī rote haiñ haivān-e-bayābāñ
hai ālam-e-hū turbat-e-majnūñ kā mujāvar
sannāTe kā aalam hai nigahbān-e-bayābāñ
jis roz mire hosh ke ham-rāh uḌeñge
dam toḌ ke mar jā.eñge murġhān-e-bayābāñ
ik din hī ye mauqūf huā ḳhaak kā uḌnā
kyā kyā na kiyā qais ne sāmān-e-bayābāñ
parvā na thī bastī kī na thī yaad vatan kī
allāh re mad-hoshī-o-nisyān-e-bayābāñ
rahte haiñ mire gird parī-zād hazāroñ
huuñ ālam-e-vahshat meñ sulaimān-e-bayābāñ
lailā pe jo aalam hai to majnūñ bhī hai ḳhush-rū
vo hūr-e-bayābāñ hai vo ġhilmān-e-bayābāñ
is tabqe kī manzūr jo kī tum ne tabāhī
barbādī huī dast-o-garebān-e-bayābāñ
afsos hai is najd ko majnūñ ne basāyā
lailā jise kahtī hai bayābān-e-bayābāñ
dil khol ke jī chāhtā hai ḳhaak uḌā.ūñ
phirne ko milā hai mujhe maidān-e-bayābāñ
jis din se banī hai tire dīvāne kī turbat
hote haiñ parī-zād bhī qurbān-e-bayābāñ
sheroñ ke hilā Daale haiñ dil us ke junūñ ne
majnūñ hai ki hai rustam-e-dastān-e-bayābāñ
jis vaqt 'sharaf' lailā o majnūñ ne qazā kī
ik ġhul huā ruḳhsat hue mehmān-e-bayābāñ
paya tere kushton ne jo maidan-e-bayaban
shan-e-chaman-e-KHuld hui shan-e-bayaban
diwana tera mar ke hua zinda-e-jawed
ruh us ki jo nikli to hui jaan-e-bayaban
mujh sa bhi jahan mein koi saudai na hoga
samjha lahad-e-qais ko aiwan-e-bayaban
virana-nashini hai azal se meri jagir
qismat ne diya hai mujhe farman-e-bayaban
wahshat pe meri aahuon ke bahte hain aansu
hairat pe meri rote hain haiwan-e-bayaban
hai aalam-e-hu turbat-e-majnun ka mujawar
sannaTe ka aalam hai nigahban-e-bayaban
jis roz mere hosh ke ham-rah uDenge
dam toD ke mar jaenge murghan-e-bayaban
ek din hi ye mauquf hua KHak ka uDna
kya kya na kiya qais ne saman-e-bayaban
parwa na thi basti ki na thi yaad watan ki
allah re mad-hoshi-o-nisyan-e-bayaban
rahte hain mere gird pari-zad hazaron
hun aalam-e-wahshat mein sulaiman-e-bayaban
laila pe jo aalam hai to majnun bhi hai KHush-ru
wo hur-e-bayaban hai wo ghilman-e-bayaban
is tabqe ki manzur jo ki tum ne tabahi
barbaadi hui dast-o-gareban-e-bayaban
afsos hai is najd ko majnun ne basaya
laila jise kahti hai bayaban-e-bayaban
dil khol ke ji chahta hai KHak uDaun
phirne ko mila hai mujhe maidan-e-bayaban
jis din se bani hai tere diwane ki turbat
hote hain pari-zad bhi qurban-e-bayaban
sheron ke hila Dale hain dil us ke junun ne
majnun hai ki hai rustam-e-dastan-e-bayaban
jis waqt 'sharaf' laila o majnun ne qaza ki
ek ghul hua ruKHsat hue mehman-e-bayaban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.