payab mauj uTThi to sar se guzar gai
pāyāb mauj uTThī to sar se guzar ga.ī
ik sarv-qad javān kī dastār utar ga.ī
karne lagā thā ġharq samundar jahān ko
tūfāñ hī maujzan thā jahāñ tak nazar ga.ī
us tīrgī meñ barq kī shoḳhī ajiib thī
ābād vo huā jise vīrān kar ga.ī
so.e badan ke bahr meñ jaagī thī ḳhuuñ kī lahr
jab chaḌh ke sar tak aa.ī to jaane kidhar ga.ī
sehn-e-chaman meñ dil ke lahū kī har ek buuñd
patte ko phuul shāḳh ko talvār kar ga.ī
nāseh ne kū-e-yār kā rasta bhulā diyā
achchhā huā ki hasrat-e-dīdār mar ga.ī
payab mauj uTThi to sar se guzar gai
ek sarw-qad jawan ki dastar utar gai
karne laga tha gharq samundar jahan ko
tufan hi maujzan tha jahan tak nazar gai
us tirgi mein barq ki shoKHi ajib thi
aabaad wo hua jise viran kar gai
soe badan ke bahr mein jagi thi KHun ki lahr
jab chaDh ke sar tak aai to jaane kidhar gai
sehn-e-chaman mein dil ke lahu ki har ek bund
patte ko phul shaKH ko talwar kar gai
naseh ne ku-e-yar ka rasta bhula diya
achchha hua ki hasrat-e-didar mar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.