paD gai aap par nazar hi to hai
paḌ ga.ī aap par nazar hī to hai
ik ḳhatā ho ga.ī bashar hī to hai
itnā bhārī na Dāliye mūbāf
bal na khaa.e kahīñ kamar hī to hai
merī aahoñ se un ke dil meñ asar
kabhī yuuñ bhī uḌe ḳhabar hī to hai
paañv phailā.e ham ne marqad meñ
chalte chalte thake safar hī to hai
'qadr' ne kyā zabān paa.ī hai
log kahte haiñ ye sahar hī to hai
paD gai aap par nazar hi to hai
ek KHata ho gai bashar hi to hai
itna bhaari na Daliye mubaf
bal na khae kahin kamar hi to hai
meri aahon se un ke dil mein asar
kabhi yun bhi uDe KHabar hi to hai
panw phailae hum ne marqad mein
chalte chalte thake safar hi to hai
'qadr' ne kya zaban pai hai
log kahte hain ye sahar hi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.