paD gai dil par mere uftad kya
paḌ ga.ī dil par mere uftād kyā
ishq kāfir kar gayā barbād kyā
jis ko pahroñ hosh tak aanā na ho
us meñ hogī tāqat-e-faryād kyā
tujh meñ jur.at hai to kuchh ḳhatra nahīñ
kar sakegī charḳh kī bedād kyā
dil hī jab apnā huā īzā-talab
chāheñ us ke zulm kī ham daad kyā
ḳhvāb meñ bhī aap jab aate nahīñ
rah sakūñgā phir bhalā maiñ shaad kyā
dil ko bahlānā hī gar manzūr ho
phuul se jañgal nahīñ ābād kyā
āp-bītī se hameñ fursat nahīñ
le ke baiTheñ qissa-e-farhād kyā
dekhnā ho to shikva-e-faqr dekh
shān-e-jam kyā shaukat-e-shaddād kyā
mehrbāñ hai tujh pe vo kyoñ in dinoñ
us ko samjhā 'arshī'-e-nāshād kyā
paD gai dil par mere uftad kya
ishq kafir kar gaya barbaad kya
jis ko pahron hosh tak aana na ho
us mein hogi taqat-e-faryaad kya
tujh mein jurat hai to kuchh KHatra nahin
kar sakegi charKH ki bedad kya
dil hi jab apna hua iza-talab
chahen us ke zulm ki hum dad kya
KHwab mein bhi aap jab aate nahin
rah sakunga phir bhala main shad kya
dil ko bahlana hi gar manzur ho
phul se jangal nahin aabaad kya
aap-biti se hamein fursat nahin
le ke baiThen qissa-e-farhad kya
dekhna ho to shikwa-e-faqr dekh
shan-e-jam kya shaukat-e-shaddad kya
mehrban hai tujh pe wo kyon in dinon
us ko samjha 'arshi'-e-nashad kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.