paD raha hai qadam-qadam tanha
paḌ rahā hai qadam-qadam tanhā
bhiiḌ meñ phir rahe haiñ ham tanhā
uf ye tanhā.ī ziist kī jaise
ham ji.e haiñ janam-janam tanhā
bah ga.e ḳhvāb saath chhoḌ ga.e
ho ga.ī aaj chashm-e-nam tanhā
vo ḳhudā hai ye sab ne maan liyā
ham tarāshā kiye sanam tanhā
maiñ ne ehsās-e-ġham bhī paayā hai
tum ne paayā hai sirf ġham tanhā
fikr kī raushnā.ī bhī laao
likh sakegā na kuchh qalam tanhā
paD raha hai qadam-qadam tanha
bhiD mein phir rahe hain hum tanha
uf ye tanhai zist ki jaise
hum jie hain janam-janam tanha
bah gae KHwab sath chhoD gae
ho gai aaj chashm-e-nam tanha
wo KHuda hai ye sab ne man liya
hum tarasha kiye sanam tanha
main ne ehsas-e-gham bhi paya hai
tum ne paya hai sirf gham tanha
fikr ki raushnai bhi lao
likh sakega na kuchh qalam tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.