paDh chuke hain nisab-e-tanhai
paḌh chuke haiñ nisāb-e-tanhā.ī
ab likheñge kitāb-e-tanhā.ī
vasl kī shab tamām hote hī
aa gayā āftāb-e-tanhā.ī
ḳhāmushī vahshateñ udāsī hai
khil rahe haiñ gulāb-e-tanhā.ī
us kī yādoñ ke ghar meñ jaate hī
khul gayā ham pe bāb-e-tanhā.ī
vasl kī shab tumhāre pahlū meñ
le rahā huuñ savāb-e-tanhā.ī
kis ko batlā.eñ kaun samjhegā
kaise jhele azāb-e-tanhā.ī
dostoñ se gurez kartā huuñ
ho rahā huuñ ḳharāb-e-tanhā.ī
paDh chuke hain nisab-e-tanhai
ab likhenge kitab-e-tanhai
wasl ki shab tamam hote hi
aa gaya aaftab-e-tanhai
KHamushi wahshaten udasi hai
khil rahe hain gulab-e-tanhai
us ki yaadon ke ghar mein jate hi
khul gaya hum pe bab-e-tanhai
wasl ki shab tumhaare pahlu mein
le raha hun sawab-e-tanhai
kis ko batlaen kaun samjhega
kaise jhele azab-e-tanhai
doston se gurez karta hun
ho raha hun KHarab-e-tanhai
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 28.12.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.