paDh lega koi raat ki roi hui aankhen
paḌh legā koī raat kī roī huī āñkheñ
har samt haiñ ārām se soī huī āñkheñ
jin logoñ kī manzil pe nazar hotī hai har dam
un kā hī tamāshā haiñ ye khoī huī āñkheñ
din bhar to jame rahte haiñ palkoñ pe vahī ḳhvāb
kyoñ hosh meñ laatī nahīñ dhoī huī āñkheñ
āñkhoñ kā jamāl aap ko ma.alūm hī kyā hai
dekhīñ haiñ kabhī raat vo soī huī āñkheñ
dil hai ki tujhe paa.eñ bikhar jaa.eñ ai maulā
bīnā.ī ke dhāge meñ piroī huī āñkheñ
kuchh bhī na dikhā mo.ajiza thā hī yahī 'āmir'
kholī ga.iiñ zamzam se bhigoī huī āñkheñ
paDh lega koi raat ki roi hui aankhen
har samt hain aaram se soi hui aankhen
jin logon ki manzil pe nazar hoti hai har dam
un ka hi tamasha hain ye khoi hui aankhen
din bhar to jame rahte hain palkon pe wahi KHwab
kyon hosh mein lati nahin dhoi hui aankhen
aankhon ka jamal aap ko malum hi kya hai
dekhin hain kabhi raat wo soi hui aankhen
dil hai ki tujhe paen bikhar jaen ai maula
binai ke dhage mein piroi hui aankhen
kuchh bhi na dikha moajiza tha hi yahi 'amir'
kholi gain zamzam se bhigoi hui aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.