paDh rahe the wo lab-e-hur hamara qissa
paḌh rahe the vo lab-e-hūr hamārā qissa
yuuñ hī thoḌī huā mash.hūr hamārā qissa
sirf ik aib nikālā thā ġhalat-fahmī ne
ho gayā ham se bahut duur hamārā qissa
āgīñ yādeñ tirī haath meñ marham le kar
jab bhī banñe lagā nāsūr hamārā qissa
ham vo jugnūñ haiñ kisī vaqt kisī se sun kar
ro paḌī thī shab-e-dījūr hamārā qissa
ḳhāmushī ne unheñ hoñToñ pe kiyā apnā qayām
yaad jin jin ko thā bharpūr hamārā qissa
'faiz' jo peḌ lagāyā hai adab kā ham ne
jaarī rakhegā ba-dastūr hamārā qissa
paDh rahe the wo lab-e-hur hamara qissa
yun hi thoDi hua mashhur hamara qissa
sirf ek aib nikala tha ghalat-fahmi ne
ho gaya hum se bahut dur hamara qissa
aagin yaaden teri hath mein marham le kar
jab bhi banne laga nasur hamara qissa
hum wo jugnun hain kisi waqt kisi se sun kar
ro paDi thi shab-e-dijur hamara qissa
KHamushi ne unhen honTon pe kiya apna qayam
yaad jin jin ko tha bharpur hamara qissa
'faiz' jo peD lagaya hai adab ka hum ne
jari rakhega ba-dastur hamara qissa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.