paDha hai humne sabaq har ghaDi sadaqat ka
paDha hai humne sabaq har ghaDi sadaqat ka
Khwaja Saeeduddin Nawab
MORE BYKhwaja Saeeduddin Nawab
paḌhā hai ham ne sabaq har ghaḌī sadāqat kā
isī liye to ye ham par asar hai rahmat kā
maiñ sach ko jhuuT kī botal meñ band kar lūñgā
mire gale meñ bhī tā'vīz hai siyāsat kā
mirī nigāh bhalā kyoñ na ho muqaddas-tar
maiñ roz kartā huuñ dīdār apnī jannat kā
maiñ bach gayā huuñ mirā naam ġhāziyoñ meñ likho
irāda kar ke to niklā thā maiñ shahādat kā
jabīn-e-shauq ke sajdoñ kā lutf yā-allāh
vo marhala bhī ajab thā tirī rifāqat kā
abhī talak hai taḳhayyul meñ nuur kī bārish
ḳhayāl aayā thā ik din tumhārī mid.hat kā
lo aaj vaqt kī Thokar meñ aa ga.e haiñ 'navāb'
nasha thā jin ke dimāġhoñ meñ bādshāhat kā
paDha hai hum ne sabaq har ghaDi sadaqat ka
isi liye to ye hum par asar hai rahmat ka
main sach ko jhuT ki botal mein band kar lunga
mere gale mein bhi ta'wiz hai siyasat ka
meri nigah bhala kyon na ho muqaddas-tar
main roz karta hun didar apni jannat ka
main bach gaya hun mera nam ghaziyon mein likho
irada kar ke to nikla tha main shahadat ka
jabin-e-shauq ke sajdon ka lutf ya-allah
wo marhala bhi ajab tha teri rifaqat ka
abhi talak hai taKHayyul mein nur ki barish
KHayal aaya tha ek din tumhaari midhat ka
lo aaj waqt ki Thokar mein aa gae hain 'nawab'
nasha tha jin ke dimaghon mein baadshahat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.