paDhne ko bahut kuchh hai kitabon ke alawa
paḌhne ko bahut kuchh hai kitāboñ ke alāva
kuchh aur paḌho yaar nisāboñ ke alāva
kyā aur bhī kuchh log yahāñ jaan se guzre
ham ishq-zada ḳhāna-ḳharāboñ ke alāva
har roz nayā roz-e-qayāmat hai zamīñ par
ab yaad nahīñ kuchh bhī azāboñ ke alāva
sunte haiñ koī jogī yahāñ aayā huā hai
ta.abīr batātā hai jo ḳhvāboñ ke alāva
gar dekh rakhā ho to koī ham ko batā.e
duniyā kī haqīqat ko sarāboñ ke alāva
jo 'nāz' ko paḌhte haiñ vo phūloñ kī dukāñ se
kuchh aur nahīñ lete gulāboñ ke alāva
paDhne ko bahut kuchh hai kitabon ke alawa
kuchh aur paDho yar nisabon ke alawa
kya aur bhi kuchh log yahan jaan se guzre
hum ishq-zada KHana-KHarabon ke alawa
har roz naya roz-e-qayamat hai zamin par
ab yaad nahin kuchh bhi azabon ke alawa
sunte hain koi jogi yahan aaya hua hai
tabir batata hai jo KHwabon ke alawa
gar dekh rakha ho to koi hum ko batae
duniya ki haqiqat ko sarabon ke alawa
jo 'naz' ko paDhte hain wo phulon ki dukan se
kuchh aur nahin lete gulabon ke alawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.