paDhta hi nahin wo kabhi tahrir hamari
paḌhtā hī nahīñ vo kabhī tahrīr hamārī
ai kātib-e-taqdīr ye taqdīr hamārī
sunñe to chale aa.e ho rūdād-e-qafas tum
zanjīr na kar le tumheñ zanjīr hamārī
har baar banātā hai salīqe se musavvir
har baar bigaḌ jaatī hai tasvīr hamārī
afsos ki us vaqt bhī ham vaqt pe aa.e
jab dekhne aa.e the vo tāḳhīr hamārī
'sharjīl' hameñ raat kisī ḳhvāb ne dekhā
phir DhūñDne niklī hameñ tā'bīr hamārī
paDhta hi nahin wo kabhi tahrir hamari
ai katib-e-taqdir ye taqdir hamari
sunne to chale aae ho rudad-e-qafas tum
zanjir na kar le tumhein zanjir hamari
har bar banata hai saliqe se musawwir
har bar bigaD jati hai taswir hamari
afsos ki us waqt bhi hum waqt pe aae
jab dekhne aae the wo taKHir hamari
'sharjil' hamein raat kisi KHwab ne dekha
phir DhunDne nikli hamein ta'bir hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.