paDi hai raat koi gham-shanas bhi nahin hai
paḌī hai raat koī ġham-shanās bhī nahīñ hai
sharāb-ḳhāne meñ aadhā gilās bhī nahīñ hai
maiñ dil ko le ke kahāñ niklūñ itnī raat ga.e
makān us kā kahīñ ās-pās bhī nahīñ hai
kisī bhī baat ko le kar ulajhte rahte haiñ
ye milnā-julnā ham aisoñ ko raas bhī nahīñ hai
yahāñ to laḌkiyāñ achchhā sā ghar bhī chāhtī haiñ
hamāre paas to achchhā libās bhī nahīñ hai
ye shahr to bahut achchhā hai apne gaañv se
ki raah chaltoñ kā koī tarās bhī nahīñ hai
paDi hai raat koi gham-shanas bhi nahin hai
sharab-KHane mein aadha gilas bhi nahin hai
main dil ko le ke kahan niklun itni raat gae
makan us ka kahin aas-pas bhi nahin hai
kisi bhi baat ko le kar ulajhte rahte hain
ye milna-julna hum aison ko ras bhi nahin hai
yahan to laDkiyan achchha sa ghar bhi chahti hain
hamare pas to achchha libas bhi nahin hai
ye shahr to bahut achchha hai apne ganw se
ki rah chalton ka koi taras bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.