paDi jab kisi ki nigah-e-mohabbat
paḌī jab kisī kī nigāh-e-mohabbat
milī ahl-e-ulfat ko rāh-e-mohabbat
sitam hai qayāmat hai āh-e-mohabbat
mirī samt hogī nigāh-e-mohabbat
hazāroñ hasīñ jam.a aa kar hue haiñ
ye mahshar hai yā jalva-gāh-e-mohabbat
vo ahl-e-tamannā ko pahchān leñge
ki chhuptī nahīñ hai nigāh-e-mohabbat
'vafā' is se vāqif nahīñ vo sitamgar
ġhazab Dhā.egī merī āh-e-mohabbat
paDi jab kisi ki nigah-e-mohabbat
mili ahl-e-ulfat ko rah-e-mohabbat
sitam hai qayamat hai aah-e-mohabbat
meri samt hogi nigah-e-mohabbat
hazaron hasin jama aa kar hue hain
ye mahshar hai ya jalwa-gah-e-mohabbat
wo ahl-e-tamanna ko pahchan lenge
ki chhupti nahin hai nigah-e-mohabbat
'wafa' is se waqif nahin wo sitamgar
ghazab Dhaegi meri aah-e-mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.