paDi jo shoala-e-ruKH par nazar mein aag lagi
paDi jo shoala-e-ruKH par nazar mein aag lagi
Inayatullah Raushan Badauni
MORE BYInayatullah Raushan Badauni
paḌī jo sho.ala-e-ruḳh par nazar meñ aag lagī
misāl-e-tūr jalā dil jigar meñ aag lagī
zavāl ahl-e-hunar ko hunar ke saath huā
suḳhan pe os paḌī aur hunar meñ aag lagī
huā itaab se surḳh us nigār kā chehra
ġhazab huā ki dil-e-fitna-gar meñ aag lagī
baḌe-baḌoñ ko havā-o-havas ne ḳhvār kiyā
hue nifāq se barbād ghar meñ aag lagī
jigar ko soz-e-nihāñ ne jalā diyā 'raushan'
huī jo ashk-fishāñ chashm-e-tar meñ aag lagī
paDi jo shoala-e-ruKH par nazar mein aag lagi
misal-e-tur jala dil jigar mein aag lagi
zawal ahl-e-hunar ko hunar ke sath hua
suKHan pe os paDi aur hunar mein aag lagi
hua itab se surKH us nigar ka chehra
ghazab hua ki dil-e-fitna-gar mein aag lagi
baDe-baDon ko hawa-o-hawas ne KHwar kiya
hue nifaq se barbaad ghar mein aag lagi
jigar ko soz-e-nihan ne jala diya 'raushan'
hui jo ashk-fishan chashm-e-tar mein aag lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.