paDi jo zarb-e-talatum rag-e-hasin pe ek
paḌī jo zarb-e-talātum rag-e-hasīn pe ek
maiñ āsmāñ meñ ka.ī thā girā zamīn pe ek
kahīñ qarīb phaTaktā na thā mirā saaya
liye uqaab vo chaltā thā āstīn pe ek
simaT simaT gayā har vāqiye kā pairāhan
na thī tilism kī tah chashm-e-ḳhurdbīn pe ek
akelā ḳhud thā mujhe kyoñ qusūr-vār kiyā
likhā jo sho.ala-e-javvāla se jabīn pe ek
rutoñ ko kuchh na milā ek zā.iqe ke sivā
nahīf jism ye bhārī kabhī thā tiin pe ek
libās taj ke ajab bebasī meñ the ashjār
vo azhdahā sā taḌaptā rahā zamīn pe ek
usī ke shor ke pīchhe garajte the bādal
ajiib buuñd thī Tapkī thī ghar ke Tiin pe ek
paDi jo zarb-e-talatum rag-e-hasin pe ek
main aasman mein kai tha gira zamin pe ek
kahin qarib phaTakta na tha mera saya
liye uqab wo chalta tha aastin pe ek
simaT simaT gaya har waqiye ka pairahan
na thi tilism ki tah chashm-e-KHurdbin pe ek
akela KHud tha mujhe kyon qusur-war kiya
likha jo shoala-e-jawwala se jabin pe ek
ruton ko kuchh na mila ek zaiqe ke siwa
nahif jism ye bhaari kabhi tha tin pe ek
libas taj ke ajab bebasi mein the ashjar
wo azhdaha sa taDapta raha zamin pe ek
usi ke shor ke pichhe garajte the baadal
ajib bund thi Tapki thi ghar ke Tin pe ek
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.