paDin ye kis ke jalwe par nigahen
paḌīñ ye kis ke jalve par nigāheñ
nigāheñ ban ga.iiñ ḳhud jalva-gāheñ
kahe mujh se na koī zabt-e-ġham ko
abhī muñh se nikal jā.eñgī aa.heñ
sulūk apnā hai un ke naqsh-e-pā par
yahī haiñ manzil-e-irfāñ kī rāheñ
unheñ dekheñ vo dekheñ yā na dekheñ
unheñ chāheñ vo chāheñ yā na chāheñ
chalā.e the jinhoñ ne tiir dil par
ham āñkhoñ meñ liye haiñ vo nigāheñ
natīja hai ye aa.heñ khīñchne kā
hameñ khīñche liye phirtī haiñ aa.heñ
'sharaf' kis ne ye Daalī aañkh meñ aañkh
nigāhoñ se nikal aa.iiñ nigāheñ
paDin ye kis ke jalwe par nigahen
nigahen ban gain KHud jalwa-gahen
kahe mujh se na koi zabt-e-gham ko
abhi munh se nikal jaengi aahen
suluk apna hai un ke naqsh-e-pa par
yahi hain manzil-e-irfan ki rahen
unhen dekhen wo dekhen ya na dekhen
unhen chahen wo chahen ya na chahen
chalae the jinhon ne tir dil par
hum aankhon mein liye hain wo nigahen
natija hai ye aahen khinchne ka
hamein khinche liye phirti hain aahen
'sharaf' kis ne ye Dali aankh mein aankh
nigahon se nikal aain nigahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.