paDta tha is KHayal ka saya yahin kahin
paḌtā thā is ḳhayāl kā saayā yahīñ kahīñ
bahtā thā mere ḳhvāb kā dariyā yahīñ kahīñ
jaane kahāñ hai aaj magar pichhlī dhuup meñ
dekhā thā ek abr kā TukḌā yahīñ kahīñ
dekho yahīñ pe hoñgī tamannā kī kirchiyāñ
TuuTā thā e'tibār kā shīsha yahīñ kahīñ
kankar uThā ke dekh rahā huuñ ki ek din
rakkhā thā maiñ ne dil kā nagīna yahīñ kahīñ
ik roz be-ḳhayālī meñ barbād ho ga.ī
ābād thī ḳhayāl kī duniyā yahīñ kahīñ
paDta tha is KHayal ka saya yahin kahin
bahta tha mere KHwab ka dariya yahin kahin
jaane kahan hai aaj magar pichhli dhup mein
dekha tha ek abr ka TukDa yahin kahin
dekho yahin pe hongi tamanna ki kirchiyan
TuTa tha e'tibar ka shisha yahin kahin
kankar uTha ke dekh raha hun ki ek din
rakkha tha main ne dil ka nagina yahin kahin
ek roz be-KHayali mein barbaad ho gai
aabaad thi KHayal ki duniya yahin kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.