pae sajda agar mujhko na tera aastan milta
pa.e sajda agar mujh ko na terā āstāñ miltā
jo paiham milne vaalā thā sukūn-e-dil kahāñ miltā
mirī mastī pe zāhid kis liye ab rashk kartā hai
tirī taqdīr meñ hotā to lutf-e-jāvedāñ miltā
haram tak hī agar mahdūd hotī āshiqī apnī
tum hī socho ki phir tum sā but-e-kāfir kahāñ miltā
mirī shaffāf peshānī ne merī laaj rakh lī hai
mujhe kyā kyā samajhte tum jo sajdoñ kā nishāñ miltā
'azīz'-e-vārsī jo tum bhī ibn-ul-vaqt ho jaate
tumhārā tazkira bhī dāstāñ-dar-dāstāñ miltā
pae sajda agar mujh ko na tera aastan milta
jo paiham milne wala tha sukun-e-dil kahan milta
meri masti pe zahid kis liye ab rashk karta hai
teri taqdir mein hota to lutf-e-jawedan milta
haram tak hi agar mahdud hoti aashiqi apni
tum hi socho ki phir tum sa but-e-kafir kahan milta
meri shaffaf peshani ne meri laj rakh li hai
mujhe kya kya samajhte tum jo sajdon ka nishan milta
'aziz'-e-warsi jo tum bhi ibn-ul-waqt ho jate
tumhaara tazkira bhi dastan-dar-dastan milta
- Book : Mehraab (Pg. 48)
- Author : Aziiz vaarsii
- Publication : Maktaba Nida-e-ittiihaad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.