pahaD hone ka sara ghurur kanp uTha
pahāḌ hone kā saarā ġhurūr kaañp uThā
bas ik zarā sī tajallī se tuur kaañp uThā
havā ne jaise hī tevar dikhā.e haiñ apne
nikal rahā thā diye se jo nuur kaañp uThā
paḌhī jo jabr-o-tashaddud kī dāstān kahīñ
kabhī shu.ūr kabhī lā-shu.ūr kaañp uThā
laboñ pe aa na sakī apne dil kī ek bhī baat
ki jab bhī pahuñchā maiñ us ke huzūr kaañp uThā
sazā kuchh aisī milī ek be-qusūr ko aaj
huā thā asl meñ jis se qusūr kaañp uThā
pahaD hone ka sara ghurur kanp uTha
bas ek zara si tajalli se tur kanp uTha
hawa ne jaise hi tewar dikhae hain apne
nikal raha tha diye se jo nur kanp uTha
paDhi jo jabr-o-tashaddud ki dastan kahin
kabhi shuur kabhi la-shuur kanp uTha
labon pe aa na saki apne dil ki ek bhi baat
ki jab bhi pahuncha main us ke huzur kanp uTha
saza kuchh aisi mili ek be-qusur ko aaj
hua tha asl mein jis se qusur kanp uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.