pahaD sahra nadi ne hamein talash kiya
pahāḌ sahrā nadī ne hameñ talāsh kiyā
hamāre ba.ad sabhī ne hameñ talāsh kiyā
kahā thā ham ne tumheñ kab hameñ talāsh karo
tumhārī apnī kamī ne hameñ talāsh kiyā
kisī ne naam kisī ne vajūd DhūñDā hai
zarā zarā sā sabhī ne hameñ talāsh kiyā
talāshā pahle ḳhushī ko jagah jagah ham ne
phir is ke ba.ad ḳhushī ne hameñ talāsh kiyā
hamārī hastī meñ kuchh aisā hai ki jis ke sabab
tamām umr sabhī ne hameñ talāsh kiyā
pahaD sahra nadi ne hamein talash kiya
hamare baad sabhi ne hamein talash kiya
kaha tha hum ne tumhein kab hamein talash karo
tumhaari apni kami ne hamein talash kiya
kisi ne nam kisi ne wajud DhunDa hai
zara zara sa sabhi ne hamein talash kiya
talasha pahle KHushi ko jagah jagah hum ne
phir is ke baad KHushi ne hamein talash kiya
hamari hasti mein kuchh aisa hai ki jis ke sabab
tamam umr sabhi ne hamein talash kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.