pahaD se koi rah utre to main bhi dekhun
pahāḌ se koī raah utre to maiñ bhī dekhūñ
bulandiyoñ se nigāh utre to maiñ bhī dekhūñ
gunāh-karda badan hai us kā to tum bhī dekho
salīb se be-gunāh utre to maiñ bhī dekhūñ
sahe haiñ bastī ne mausamoñ ke azaab kyā kyā
chhatoñ se āb-o-giyāh utre to maiñ bhī dekhūñ
yahāñ kise raas aa.ī hai rasm-e-ḳhud-numā.ī
saroñ se zauq-e-kulāh utre to maiñ bhī dekhūñ
kahāñ kahāñ jism dhuup se ho ga.e haiñ jal-thal
nagar meñ shām-e-siyāh utre to maiñ bhī dekhūñ
pahaD se koi rah utre to main bhi dekhun
bulandiyon se nigah utre to main bhi dekhun
gunah-karda badan hai us ka to tum bhi dekho
salib se be-gunah utre to main bhi dekhun
sahe hain basti ne mausamon ke azab kya kya
chhaton se aab-o-giyah utre to main bhi dekhun
yahan kise ras aai hai rasm-e-KHud-numai
saron se zauq-e-kulah utre to main bhi dekhun
kahan kahan jism dhup se ho gae hain jal-thal
nagar mein sham-e-siyah utre to main bhi dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.