pahaDi raste par aabju ki aazmaish hai
pahāḌī rāste par aabjū kī āzmā.ish hai
samundar kis taraf hai justujū kī āzmā.ish hai
pare dīvār-e-jāñ ke ek dhoke ke sivā kiyā hai
mire andar musalsal aarzū kī āzmā.ish hai
ka.ī lahreñ sī uThtī haiñ jo lafzoñ meñ nahīñ Dhaltīñ
in āñkhoñ ke muqābil guftugū kī āzmā.ish hai
maiñ apne dil kī ḳhāmoshī tujhe email kartā huuñ
sunā hai mai-kade meñ hā-o-hū kī āzmā.ish hai
ta.ayyun samt kā hotā nahīñ āñkheñ bhaTaktī haiñ
qadam kaise uTheñ jab chār-sū kī āzmā.ish hai
pahaDi raste par aabju ki aazmaish hai
samundar kis taraf hai justuju ki aazmaish hai
pare diwar-e-jaan ke ek dhoke ke siwa kiya hai
mere andar musalsal aarzu ki aazmaish hai
kai lahren si uThti hain jo lafzon mein nahin Dhaltin
in aankhon ke muqabil guftugu ki aazmaish hai
main apne dil ki KHamoshi tujhe email karta hun
suna hai mai-kade mein ha-o-hu ki aazmaish hai
tayyun samt ka hota nahin aankhen bhaTakti hain
qadam kaise uThen jab chaar-su ki aazmaish hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.