pahaDon se abhi nikla nahin tha
pahāḌoñ se abhī niklā nahīñ thā
maiñ dariyā thā magar gahrā nahīñ thā
ayaañ hotā kisī par raaz kyūñ-kar
abhī vo vaqt hī aaya nahīñ thā
sar-e-maqtal mire hī tazkire the
magar maiñ ġhaar se lauTā nahīñ thā
haram thā muntazir sadiyoñ se jis kā
vo koī but-shikan aaya nahīñ thā
ajab andāz kā thā ilm merā
kisī ke fahm meñ aatā nahīñ thā
maiñ aise bhes meñ bastī se guzrā
kisī ne mujh ko pahchānā nahīñ thā
shab-e-hijrat bahut ḳhadshe the lekin
zamāna niiñd se jaagā nahīñ thā
kuchh aisī raushnī chhā.ī huī thī
kisī ko kuchh nazar aatā nahīñ thā
yahī pahchān thī 'āsif' hamārī
hamāre paas ā.īna nahīñ thā
pahaDon se abhi nikla nahin tha
main dariya tha magar gahra nahin tha
ayan hota kisi par raaz kyun-kar
abhi wo waqt hi aaya nahin tha
sar-e-maqtal mere hi tazkire the
magar main ghaar se lauTa nahin tha
haram tha muntazir sadiyon se jis ka
wo koi but-shikan aaya nahin tha
ajab andaz ka tha ilm mera
kisi ke fahm mein aata nahin tha
main aise bhes mein basti se guzra
kisi ne mujh ko pahchana nahin tha
shab-e-hijrat bahut KHadshe the lekin
zamana nind se jaga nahin tha
kuchh aisi raushni chhai hui thi
kisi ko kuchh nazar aata nahin tha
yahi pahchan thi 'asif' hamari
hamare pas aaina nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.