pahaDon se rah-e-safar par akele
pahāḌoñ se rāh-e-safar par akele
nikalte haiñ dariyā sarāsar akele
guzartī hai kyā kyā aziyyat kisī par
koī chal ke dekhe ghaḌī bhar akele
ho kitnā bhī mushkil safar par ye dariyā
to chaltā hī rahtā hai hañs kar akele
mile un se aakar na dariyā agar to
bhareñge kabhī kyā samundar akele
jo karte haiñ chintā sabhī kī ḳhushī kī
vo rahte haiñ duniyā meñ aksar akele
ye duniyā bhalā raas aa.ī kab un ko
sadā se rahe haiñ payambar akele
sikhātā hai sūraj ye ham ko ki kaise
kare koī jag ko munavvar akele
na sangī na sāthī na rupya na paisa
gayā is jahāñ se sikandar akele
unheñ yaad rakhtī hai duniyā ye 'madhuman'
jo lete haiñ duniyā se Takkar akele
pahaDon se rah-e-safar par akele
nikalte hain dariya sarasar akele
guzarti hai kya kya aziyyat kisi par
koi chal ke dekhe ghaDi bhar akele
ho kitna bhi mushkil safar par ye dariya
to chalta hi rahta hai hans kar akele
mile un se aakar na dariya agar to
bharenge kabhi kya samundar akele
jo karte hain chinta sabhi ki KHushi ki
wo rahte hain duniya mein aksar akele
ye duniya bhala ras aai kab un ko
sada se rahe hain payambar akele
sikhata hai suraj ye hum ko ki kaise
kare koi jag ko munawwar akele
na sangi na sathi na rupya na paisa
gaya is jahan se sikandar akele
unhen yaad rakhti hai duniya ye 'madhuman'
jo lete hain duniya se Takkar akele
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.