pahan kar dekh lo utran kisi ki
pahan kar dekh lo utran kisī kī
zarā bhī kam nahīñ uljhan kisī kī
hamāre kaan sun kar phaT na jaa.eñ
tirī pāzeb meñ chhan-chhan kisī kī
ḳhudārā dhyān denā faisle par
tire hāthoñ meñ ye gardan kisī kī
gale aise milā thā vo kisī ke
ki āñkheñ ho ga.iiñ raushan kisī kī
hamāre dhyān par aise paḌī hai
saraktī hī nahīñ chilman kisī kī
pahan kar dekh lo utran kisi ki
zara bhi kam nahin uljhan kisi ki
hamare kan sun kar phaT na jaen
teri pazeb mein chhan-chhan kisi ki
KHudara dhyan dena faisle par
tere hathon mein ye gardan kisi ki
gale aise mila tha wo kisi ke
ki aankhen ho gain raushan kisi ki
hamare dhyan par aise paDi hai
sarakti hi nahin chilman kisi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.