pahan rakhi hain tassub ki beDiyan ab bhi
pahan rakhī haiñ ta'assub kī beḌiyāñ ab bhī
sulag rahīñ haiñ siyāsat se bastiyāñ ab bhī
na.ī sahar ko na.ī raushnī ke naam kareñ
ki band kyoñ haiñ ujāloñ kī khiḌkiyāñ ab bhī
maqām aur ka.ī zindagī meñ aane haiñ
mileñge saañp ka.ī aur sīḌhiyāñ ab bhī
kisī se rābta merā nahīñ hai barsoñ se
na jaane kyoñ ye satātī haiñ hichkiyāñ ab bhī
ḳhizāñ ke roke se ruktī kahāñ bahāreñ haiñ
khileñge phuul to ā.eñgī titliyāñ ab bhī
pahan rakhi hain ta'assub ki beDiyan ab bhi
sulag rahin hain siyasat se bastiyan ab bhi
nai sahar ko nai raushni ke nam karen
ki band kyon hain ujalon ki khiDkiyan ab bhi
maqam aur kai zindagi mein aane hain
milenge sanp kai aur siDhiyan ab bhi
kisi se rabta mera nahin hai barson se
na jaane kyon ye satati hain hichkiyan ab bhi
KHizan ke roke se rukti kahan bahaaren hain
khilenge phul to aaengi titliyan ab bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.