pahchan mein na aae the itne bhare hue
pahchān meñ na aa.e the itne bhare hue
ham ḳhvāhishoñ ke malbe meñ dab kar mare hue
ai shaḳhs tū ne ġhaur se dekhā nahīñ hameñ
ham log to vahī haiñ tire radd kare hue
pī pī ke bhī vo tujh ko na aaya bahār par
ham haiñ ki dekh dekh ke tujh ko hare hue
vo ḳhush-nasīb dil meñ sajāyā gayā use
ham rah ga.e jahāñ ke vahīñ par dhare hue
baiThe hue haiñ sahm ke bazm-e-jahāñ meñ ham
kartūt-e-ahl-e-bazm-e-jahāñ se Dare hue
pahchan mein na aae the itne bhare hue
hum KHwahishon ke malbe mein dab kar mare hue
ai shaKHs tu ne ghaur se dekha nahin hamein
hum log to wahi hain tere radd kare hue
pi pi ke bhi wo tujh ko na aaya bahaar par
hum hain ki dekh dekh ke tujh ko hare hue
wo KHush-nasib dil mein sajaya gaya use
hum rah gae jahan ke wahin par dhare hue
baiThe hue hain sahm ke bazm-e-jahan mein hum
kartut-e-ahl-e-bazm-e-jahan se Dare hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.