pahle apnāyā ḳhaar phūloñ kā
tab kahīñ paayā pyaar phūloñ kā
maiñ bhī gulshan sameT laayā huuñ
us ne māñgā thā haar phūloñ kā
yaad aatī hai us kī mat chheḌo
zikr yuuñ baar baar phūloñ kā
tujh se milne ke ba.ad ye jaanā
kaun hai dastkār phūloñ kā
phail jā ban ke ḳhushbū gulshan meñ
chhīn le iḳhtiyār phūloñ kā
tere chhūne se hī to chaltā hai
aaj kal rozgār phūloñ kā
de ke iz.hār-e-ishq karte haiñ
is se samjho vaqār phūloñ kā
jab se āmir-'atā' huā āshiq
chaḌh gayā hai udhār phūloñ kā
pahle apnaya KHar phulon ka
tab kahin paya pyar phulon ka
main bhi gulshan sameT laya hun
us ne manga tha haar phulon ka
yaad aati hai us ki mat chheDo
zikr yun bar bar phulon ka
tujh se milne ke baad ye jaana
kaun hai dastkar phulon ka
phail ja ban ke KHushbu gulshan mein
chhin le iKHtiyar phulon ka
tere chhune se hi to chalta hai
aaj kal rozgar phulon ka
de ke izhaar-e-ishq karte hain
is se samjho waqar phulon ka
jab se aamir-'ata' hua aashiq
chaDh gaya hai udhaar phulon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.