pahle apni haar KHud taslim karni hai hamein
pahle apnī haar ḳhud taslīm karnī hai hameñ
baad az ab aap kī tāzīm karnī hai hameñ
āshnā-e-ranj-o-ġham karne se pahle soch leñ
kal yahī mīrās phir taqsīm karnī hai hameñ
ishq kī qismat meñ gar āh-o-fuġhāñ hī hai to phir
ye ibārat ishq kī tarmīm karnī hai hameñ
baad meñ kuchh āshiqī ke baab par socheñge ham
pahle to hāsil abhī ta.alīm karnī hai hameñ
ilm kī ḳhātir abhī āThoñ pahar aur shash-jihat
roz qaa.em ik na.ī tanzīm karnī hai hameñ
pahle apni haar KHud taslim karni hai hamein
baad az ab aap ki tazim karni hai hamein
aashna-e-ranj-o-gham karne se pahle soch len
kal yahi miras phir taqsim karni hai hamein
ishq ki qismat mein gar aah-o-fughan hi hai to phir
ye ibarat ishq ki tarmim karni hai hamein
baad mein kuchh aashiqi ke bab par sochenge hum
pahle to hasil abhi talim karni hai hamein
ilm ki KHatir abhi aaThon pahar aur shash-jihat
roz qaem ek nai tanzim karni hai hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.