pahle baaten pyari pyari karta hai
pahle bāteñ pyārī pyārī kartā hai
phir vo diloñ par dahshat taarī kartā hai
maiñ is kī har chaal se vāqif huuñ lekin
ba.az auqāt ye dil ġhaddārī kartā hai
dil meñ bhale is fitne ke khoT bharā hai
bātoñ se lekin dildārī kartā hai
maiñ bhī nā-shā.ista harakat kartā huuñ
aur vo bhī bāteñ bāzārī kartā hai
merā bhī koī dīn-o-īmān nahīñ
vo bhī saare shahr se yaarī kartā hai
ek adā roz na.ī kartā hai ījād
roz na.e Dhañg se ayyārī kartā hai
sunte haiñ sab hī kī baarī aatī hai
sab ko zalīl vo baarī baarī kartā hai
pahle baaten pyari pyari karta hai
phir wo dilon par dahshat tari karta hai
main is ki har chaal se waqif hun lekin
baz auqat ye dil ghaddari karta hai
dil mein bhale is fitne ke khoT bhara hai
baaton se lekin dildari karta hai
main bhi na-shaista harakat karta hun
aur wo bhi baaten bazari karta hai
mera bhi koi din-o-iman nahin
wo bhi sare shahr se yari karta hai
ek ada roz nai karta hai ijad
roz nae Dhang se ayyari karta hai
sunte hain sab hi ki bari aati hai
sab ko zalil wo bari bari karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.