pahle be-saya kiya tha baad-e-sarsar ne mujhe
pahle be-sāya kiyā thā bād-e-sarsar ne mujhe
ab chalīñ sarkash havā.eñ be-zamīñ karne mujhe
merī āñkhoñ par savād-e-shām kā partav nahīñ
ik nazar kī diid baḳhshī hai gul-e-tar ne mujhe
ā.ina-timsāl is jānib se guzrā thā kabhī
toḌ Daalā thā usī jā ek patthar ne mujhe
munharif ḳhvāb-e-tamannā se mirī āñkheñ huiiñ
mutma.in huuñ jo diyā mere muqaddar ne mujhe
ruḳh na kar paayā kabhī shahr-e-qanā.at kī taraf
bāñdh kar rakkhā havas ke luqma-e-tar ne mujhe
pahle be-saya kiya tha baad-e-sarsar ne mujhe
ab chalin sarkash hawaen be-zamin karne mujhe
meri aankhon par sawad-e-sham ka partaw nahin
ek nazar ki did baKHshi hai gul-e-tar ne mujhe
aaina-timsal is jaanib se guzra tha kabhi
toD Dala tha usi ja ek patthar ne mujhe
munharif KHwab-e-tamanna se meri aankhen huin
mutmain hun jo diya mere muqaddar ne mujhe
ruKH na kar paya kabhi shahr-e-qanaat ki taraf
bandh kar rakkha hawas ke luqma-e-tar ne mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.