pahle be-yar-o-madadgar kiya jata hai
pahle be-yār-o-madadgār kiyā jaatā hai
phir hameñ hāshiya-bardār kiyā jaatā hai
jaane kyā būḌhe daraḳhtoñ pe guzartī hogī
jab parindoñ ko giraftār kiyā jaatā hai
jab bhī aatā hai unheñ apnī ḳhudā.ī kā ḳhayāl
ham ġharīboñ ko gunahgār kiyā jaatā hai
log ḳhvāboñ ke 'evaz niiñd churā lete haiñ
sone vāloñ ko ḳhabar-dār kiyā jaatā hai
jab bhī ham log firāsat kī sa'ī karte haiñ
phir se ek aadh chamatkār kiyā jaatā hai
pahle be-yar-o-madadgar kiya jata hai
phir hamein hashiya-bardar kiya jata hai
jaane kya buDhe daraKHton pe guzarti hogi
jab parindon ko giraftar kiya jata hai
jab bhi aata hai unhen apni KHudai ka KHayal
hum gharibon ko gunahgar kiya jata hai
log KHwabon ke 'ewaz nind chura lete hain
sone walon ko KHabar-dar kiya jata hai
jab bhi hum log firasat ki sa'i karte hain
phir se ek aadh chamatkar kiya jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.