pahle bujhe charagh se tara kiya mujhe
pahle bujhe charāġh se taara kiyā mujhe
phir us ne Dūbne kā ishāra kiyā mujhe
mismār kar diyā mujhe sailāb-e-vaqt ne
tā'mīr phir usī ne dubāra kiyā mujhe
ik baaġh dekhtā thā maiñ maazī ki mauj meñ
ik phuul ḳhushbuoñ meñ utārā kiyā mujhe
jab jī meñ aaya raakh meñ tabdīl kar diyā
jab jī meñ aaya us ne sharāra kiyā mujhe
rāh-e-talab meñ kis ko Thaharne kā hosh thā
yuuñ to har ek peḌ pukārā kiyā mujhe
pahle bujhe charagh se tara kiya mujhe
phir us ne Dubne ka ishaara kiya mujhe
mismar kar diya mujhe sailab-e-waqt ne
ta'mir phir usi ne dubara kiya mujhe
ek bagh dekhta tha main mazi ki mauj mein
ek phul KHushbuon mein utara kiya mujhe
jab ji mein aaya rakh mein tabdil kar diya
jab ji mein aaya us ne sharara kiya mujhe
rah-e-talab mein kis ko Thaharne ka hosh tha
yun to har ek peD pukara kiya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.