pahle dil mein jamal paida kar
pahle dil meñ jamāl paidā kar
aap apnī misāl paidā kar
chhoḌ tanqīd ġhair par karnā
apne fan meñ kamāl paidā kar
raah raushan na dekh auroñ kī
apne ghar se ujaal paidā kar
jis se sarshār ho adab apnā
naġhma-e-lā-zavāl paidā kar
rāh-e-jannat jo tere dil meñ hai
sab ke dil meñ ḳhayāl paidā kar
tujh par aafat na koī aa.egī
rozī apnī halāl paidā kar
tujh ko karnā hai lā-javāb 'zamīr'
aisā dil meñ savāl paidā kar
pahle dil mein jamal paida kar
aap apni misal paida kar
chhoD tanqid ghair par karna
apne fan mein kamal paida kar
rah raushan na dekh auron ki
apne ghar se ujal paida kar
jis se sarshaar ho adab apna
naghma-e-la-zawal paida kar
rah-e-jannat jo tere dil mein hai
sab ke dil mein KHayal paida kar
tujh par aafat na koi aaegi
rozi apni halal paida kar
tujh ko karna hai la-jawab 'zamir'
aisa dil mein sawal paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.