pahle dukh dard kai dil mein sambhaale maine
pahle dukh dard ka.ī dil meñ sambhāle maiñ ne
phir kiyā ḳhud ko tire ġham ke havāle maiñ ne
kyuuñ khule tujh pe safar meñ thī azīyat kaisī
kab dikhā.e haiñ tujhe ruuh ke chhāle maiñ ne
tū ne har gaam jo baḳhshe haiñ añdhere mujh ko
un añdheroñ meñ tire ḳhvāb ujāle maiñ ne
terī tasvīr mire paas thī ya.anī tū thā
din tire hijr ke is ḳhvāb meñ Taale maiñ ne
tere ġham se kiyā duniyā ke ġhamoñ kā chāra
yaanī ik ḳhaar se sab ḳhaar nikāle maiñ ne
shahr vāloñ ne inheñ abr-e-karam samjhā naaz
apne aañsū jo havāoñ meñ uchhāle maiñ ne
pahle dukh dard kai dil mein sambhaale main ne
phir kiya KHud ko tere gham ke hawale main ne
kyun khule tujh pe safar mein thi aziyat kaisi
kab dikhae hain tujhe ruh ke chhaale main ne
tu ne har gam jo baKHshe hain andhere mujh ko
un andheron mein tere KHwab ujale main ne
teri taswir mere pas thi yani tu tha
din tere hijr ke is KHwab mein Tale main ne
tere gham se kiya duniya ke ghamon ka chaara
yani ek KHar se sab KHar nikale main ne
shahr walon ne inhen abr-e-karam samjha naz
apne aansu jo hawaon mein uchhaale main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.