pahle ghar mein to ek shab Thahro
pahle ghar meñ to ek shab Thahro
puurī kar dūñgā har talab Thahro
maut ke baa'd tum chale jaanā
dekho jab tak huuñ jāñ-balab Thahro
kyoñ ḳhafā hai vo in dinoñ mujh se
pūchh letā huuñ maiñ sabab Thahro
merā dil ab nahīñ hai dil merā
ghar tumhārā hai chāhe jab Thahro
kis tarah kis se baat kī jaa.e
siikh lene to do ye Dhab Thahro
raushnī hai ki tīrgī har-sū
dhund Dhātī hai kyā ġhazab Thahro
pyaas sab kī bujhā.ī jā.egī
Thahro Thahro ai tishna-lab Thahro
pahle ghar mein to ek shab Thahro
puri kar dunga har talab Thahro
maut ke ba'd tum chale jaana
dekho jab tak hun jaan-balab Thahro
kyon KHafa hai wo in dinon mujh se
puchh leta hun main sabab Thahro
mera dil ab nahin hai dil mera
ghar tumhaara hai chahe jab Thahro
kis tarah kis se baat ki jae
sikh lene to do ye Dhab Thahro
raushni hai ki tirgi har-su
dhund Dhati hai kya ghazab Thahro
pyas sab ki bujhai jaegi
Thahro Thahro ai tishna-lab Thahro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.