pahle hum ashk the phir dida-e-nam-nak hue
pahle ham ashk the phir dīda-e-nam-nāk hue
ik jū-e-āb-e-ravāñ haath lagī paak hue
aur phir sāda-dilī dil meñ kahīñ dafn huī
aur phir dekhte hī dekhte chālāk hue
aur phir shaam huī rañg khile jaam bhare
aur phir zikr chhiḌā thoḌe se ġhamnāk hue
aur phir aah bharī ashk bahe sher kahe
aur phir raqs kiyā dhuul uḌī ḳhaak hue
aur phir ham kasī pā-posh kā paivand bane
aur phir apne bhī charche sar-e-aflāk hue
aur phir yaad kiyā ism paḌhā phūñk diyā
aur phir koh-e-girāñ bhī ḳhas-o-ḳhāshāk hue
pahle hum ashk the phir dida-e-nam-nak hue
ek ju-e-ab-e-rawan hath lagi pak hue
aur phir sada-dili dil mein kahin dafn hui
aur phir dekhte hi dekhte chaalak hue
aur phir sham hui rang khile jam bhare
aur phir zikr chhiDa thoDe se ghamnak hue
aur phir aah bhari ashk bahe sher kahe
aur phir raqs kiya dhul uDi KHak hue
aur phir hum kasi pa-posh ka paiwand bane
aur phir apne bhi charche sar-e-aflak hue
aur phir yaad kiya ism paDha phunk diya
aur phir koh-e-giran bhi KHas-o-KHashak hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.