pahle hum ishq kiya karte the
pahle ham ishq kiyā karte the
haañ kabhī ham bhī jiyā karte the
apne dāman kī kabhī fikr na kī
chaak auroñ ke siyā karte the
pahle har haal meñ ḳhush rahte the
jaane kyā kaam kiyā karte the
chāhne vaale bahut the lekin
ham bas ik naam liyā karte the
kabhī aañsū to kabhī mai 'aḳhtar'
jo mayassar thā piyā karte the
pahle hum ishq kiya karte the
han kabhi hum bhi jiya karte the
apne daman ki kabhi fikr na ki
chaak auron ke siya karte the
pahle har haal mein KHush rahte the
jaane kya kaam kiya karte the
chahne wale bahut the lekin
hum bas ek nam liya karte the
kabhi aansu to kabhi mai 'aKHtar'
jo mayassar tha piya karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.