pahle har lafz toliye sahab
pahle har lafz toliye sāhab
phir zabāñ apnī kholiye sāhab
kuchh to hamrāz kā bharam rakhiye
band muTThī na kholiye sāhab
shaḳhsiyat kā lihāz to rakhiye
narm lahje se boliye sāhab
mere sāġhar meñ aks-e-jalva hai
dekh kar zahr gholiye sāhab
kho na jaa.e kahīñ vaqār apnā
be-zarūrat na boliye sāhab
band kiije zabān chup rahiye
aur aage na boliye sāhab
jo 'ziyā' ko charāġh-pā kar de
vo sahīfa na kholiye sāhib
pahle har lafz toliye sahab
phir zaban apni kholiye sahab
kuchh to hamraaz ka bharam rakhiye
band muTThi na kholiye sahab
shaKHsiyat ka lihaz to rakhiye
narm lahje se boliye sahab
mere saghar mein aks-e-jalwa hai
dekh kar zahr gholiye sahab
kho na jae kahin waqar apna
be-zarurat na boliye sahab
band kije zaban chup rahiye
aur aage na boliye sahab
jo 'ziya' ko charagh-pa kar de
wo sahifa na kholiye sahib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.