pahle hi din khula ye jawab-o-sawal mein
pahle hī din khulā ye javāb-o-savāl meñ
kuchh husn us ke dil meñ hai kuchh ḳhadd-o-ḳhāl meñ
sailāb-e-shauq merā tavāzun to le gayā
lekin vo ḳhush-mizāj rahā e'tidāl meñ
jismoñ se māvarā bhī haqā.eq bahut se haiñ
paa.ī hai dil ne raushnī shām-e-visāl meñ
aa.ī hai bārhā tire aane se pesh-tar
pāzeb kī chhanak mere kunj-e-ḳhayāl meñ
tujh se milā na thā to yahī sochtā thā maiñ
insān ḳhud-kafīl nahīñ hai jamāl meñ
pahle hi din khula ye jawab-o-sawal mein
kuchh husn us ke dil mein hai kuchh KHadd-o-KHal mein
sailab-e-shauq mera tawazun to le gaya
lekin wo KHush-mizaj raha e'tidal mein
jismon se mawara bhi haqaeq bahut se hain
pai hai dil ne raushni sham-e-visal mein
aai hai barha tere aane se pesh-tar
pazeb ki chhanak mere kunj-e-KHayal mein
tujh se mila na tha to yahi sochta tha main
insan KHud-kafil nahin hai jamal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.