pahle hota agar shuur itna
pahle hotā agar shu'ūr itnā
shīsha-e-dil na hotā chuur itnā
'ishq is se hī thā huā ehsās
ho gayā jab vo mujh se duur itnā
kah na paa.e ki be-qusūr haiñ ham
ho gayā ham se bas qusūr itnā
ḳhvāb meñ bhī safar nahīñ hotā
jism hai ab thakan se chuur itnā
tū bhī miTTī kā ek putlā hai
kis liye hai tujhe ġhurūr itnā
lauT aanā bhī ab nahīñ mumkin
jā chukā hai vo ham se duur itnā
maut ke vaqt paas aa jaanā
kaam karnā mirā zarūr itnā
pahle hota agar shu'ur itna
shisha-e-dil na hota chur itna
'ishq is se hi tha hua ehsas
ho gaya jab wo mujh se dur itna
kah na pae ki be-qusur hain hum
ho gaya hum se bas qusur itna
KHwab mein bhi safar nahin hota
jism hai ab thakan se chur itna
tu bhi miTTi ka ek putla hai
kis liye hai tujhe ghurur itna
lauT aana bhi ab nahin mumkin
ja chuka hai wo hum se dur itna
maut ke waqt pas aa jaana
kaam karna mera zarur itna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.