pahle hua jo karte the hum wo nahin rahe
pahle huā jo karte the ham vo nahīñ rahe
dekho shab-e-firāq hai aur ro nahīñ rahe
aisī bhī ro rahe haiñ unheñ jo nahīñ rahe
pahle se mo.ajize to kahīñ ho nahīñ rahe
yaaro dikhāo phir koī aisā hunar ki bas
ġhairoñ kī koī fikr hī ham ko nahīñ rahe
ash.ār se ayaañ haiñ to ash.ār mat paḌho
ham dil ke daaġh tum ko dikhā to nahīñ rahe
tadbīr bhī hai jaan bhī hai maslahat bhī hai
rahnā na thā bas ek hameñ so nahīñ rahe
ham ġhair aur vo sabhī apnī jagah pe haiñ
bas yuuñ kaho miyāñ ki ġhazal-go nahīñ rahe
pahle hua jo karte the hum wo nahin rahe
dekho shab-e-firaq hai aur ro nahin rahe
aisi bhi ro rahe hain unhen jo nahin rahe
pahle se moajize to kahin ho nahin rahe
yaro dikhao phir koi aisa hunar ki bas
ghairon ki koi fikr hi hum ko nahin rahe
ashaar se ayan hain to ashaar mat paDho
hum dil ke dagh tum ko dikha to nahin rahe
tadbir bhi hai jaan bhi hai maslahat bhi hai
rahna na tha bas ek hamein so nahin rahe
hum ghair aur wo sabhi apni jagah pe hain
bas yun kaho miyan ki ghazal-go nahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.