pahle itna to mera haal kabhi zar na tha
pahle itnā to mirā haal kabhī zaar na thā
aah dil-soz na thī naala sharar-bār na thā
kyoñ pashemān kiyā ai dil-e-nādāñ un ko
qissa-e-ḳhūn-e-jigar qābil-e-iz.hār na thā
zikr-e-farhād sahī qissa-e-mansūr sahī
husn kis rang meñ rusvā sar-e-bāzār na thā
justujū is chaman-ārā kī liye phirtī thī
varna gulshan se mujhe koī sarokār na thā
dil kī duniyā thī ik ummīd pe qaa.em varna
jaan denā shab-e-furqat hameñ dushvār na thā
is tarah suntā huuñ ahvāl-e-nasheman goyā
mujh ko gulshan se kabhī koī sarokār na thā
ai 'rashīd' ab vo zamāna hameñ yaad aatā hai
jab ġham-e-ishq to kyā koī bhī āzār na thā
pahle itna to mera haal kabhi zar na tha
aah dil-soz na thi nala sharar-bar na tha
kyon pasheman kiya ai dil-e-nadan un ko
qissa-e-KHun-e-jigar qabil-e-izhaar na tha
zikr-e-farhad sahi qissa-e-mansur sahi
husn kis rang mein ruswa sar-e-bazar na tha
justuju is chaman-ara ki liye phirti thi
warna gulshan se mujhe koi sarokar na tha
dil ki duniya thi ek ummid pe qaem warna
jaan dena shab-e-furqat hamein dushwar na tha
is tarah sunta hun ahwal-e-nasheman goya
mujh ko gulshan se kabhi koi sarokar na tha
ai 'rashid' ab wo zamana hamein yaad aata hai
jab gham-e-ishq to kya koi bhi aazar na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.