pahle jaisa nahin raha hun
pahle jaisā nahīñ rahā huuñ
maiñ andar tak TuuT gayā huuñ
jaise kāġhaz phaT jaatā hai
do TukḌoñ meñ paḌā huā huuñ
dost mirā kyuuñ saath nibhāte
jab maiñ un ko chhoḌ chukā huuñ
kitnā chhoTā sā lagtā huuñ
duur se ḳhud ko dekh rahā huuñ
shīshe kī dīvāroñ vaale
ik kamre meñ qaid paḌā huuñ
logoñ ke zāhir bātin ko
dekhtā huuñ hañstā rahtā huuñ
tasvīroñ kā qaht paḌā hai
aur maiñ rañg bahā baiThā huuñ
koī merā haal na pūchhe
maiñ jaisā bhī huuñ achchhā huuñ
pahle jaisa nahin raha hun
main andar tak TuT gaya hun
jaise kaghaz phaT jata hai
do TukDon mein paDa hua hun
dost mera kyun sath nibhate
jab main un ko chhoD chuka hun
kitna chhoTa sa lagta hun
dur se KHud ko dekh raha hun
shishe ki diwaron wale
ek kamre mein qaid paDa hun
logon ke zahir baatin ko
dekhta hun hansta rahta hun
taswiron ka qaht paDa hai
aur main rang baha baiTha hun
koi mera haal na puchhe
main jaisa bhi hun achchha hun
- Book : Tamasha (Pg. 107)
- Publication : Hassan Shahnawaz Zaidi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.